Yeh Teergi-E-Shab Hi Kuch Subah Taraaz Aati
Khud Vaadaa-E-Farda Ki Chhaati Bhi Dhadhak Jaati
Honton Pe Hansi Paiham Aate Huye Sharmati
Kya Subah Qayamat Hi Haasil Hai Judaai Ka
Ab Raat Nahin Katati Ab Neend Nahin Aati
Jo Awwal-O-Aakhir Tha Woh Awwal-O-Aakhir Hai
Main Naalah-Bajaan Utthta Woh Naghma Ba-Saaz Aati
Soz-E-Shab-E-Hizraan Phir Soz-E-Shab-E-Hizraan Hai
Shabnam Ba-Maza Utthti Ya Zulf Daraaz Aati
Yaa-Rab Woh Jawaani Bhi Kya Mehshar-E-Armaan Thi
Angadi Bhi Jab Leti Ek Aankh Jhapak Jaati
Aaghaz-E-Siyah Masti Anjaam-E-Siyah Masti
Aaeene Mein Soorat Bhi Aane Ki Qasam Khaati
Seene Mein ‘Majaz’ Ab Tak Woh Jazba-E-Kaafir Tha
Taslees Ki Joi’eenda Wahdat Ki Qasam Khaati
--------------
0 Comments