Meer - Aa Jaayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yaan

 Aa Jaayen Ham Nazar


Aa Jaayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yaan
Mohlat Basaan-E-Barq-O-Sharaar Kam Bahut Hai Yaan

Yak Lahza Seena Ko Bi Se Fursat Hamain Nahin
Yaani Ki Dil Ke Jaane Ka Maatam Bahut Hai Yaan

Ham Rah-Ravaan-E-Raah-E-Fanaa Der Rah Chuke
Waqfa Basaan-E-Subh Koi Dam Bahut Hai Yaan

Haasil Hai Kya Sivaaye Tarai Ke Dahar Main
Uth Aasmaan Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yaan

Is But-Kade Main Maani Ka Kis Se Karen Sawaal
Aadam Nahin Surat-E-Adam Bahur Hai Yaan

Ajaaz-E-Isavi Se Nahin Bahas Ishq Main
Teri Hi Baat Jaan-E-Mujassim Bahut Hai Yaan

Mere Halaak Karne Ka Gham Hai Abas Tumhen
Tum Shaad Zindegani Karo Gam Bahut Hai Yaan

Shaayad Ke Kaam Subh Tak Apna Khinche Na ‘Meer’
Ahwaal Aaj Shaam Se Daraham Bahut Hai Yaan


---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>