Meer - Ba-Rang-E-Bu-E-Gul, Is Baagh Ke Ham Aashna Hote



Ba-Rang-E-Bu-E-Gul, Is Baagh Ke Ham Aashna Hote
Ki Ham-Raah-E-Saba Tuk Sair Karte, Aur Hawa Hote

Saraapa Aarzu Hone Ne Banda Kar Diya Hamko
Vagarna Ham Khuda The, Gar Dil-E-Bemuddaa Hote

Falak, Ai Kaash! Hamao Khaak Hi Rakhta, Ki Us Main Ham
Gubaar-E-Raah Hote Yaa Kisi Ki Khaak-E-Paa Hote

Ilaahi Kaise Hote Hain Jinhen Hai Bandagi Khvaahish
Hamain To Sharm Daaman-Geer Hoti Hai, Khuda Hote

Kahen Jo Kuch Malaamtagaar, Baja Hai ‘Meer’ Kya Jaane
Unhe Maalum Tab Hota, Ki Vaise Se Juda Hote

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>