Meer - Baat Kya Aadmi Ki Ban Aai



Baat Kya Aadmi Ki Ban Aai
Aasmaan Se Zameen Napwaai

Charkh Zan Uske Vaaste Hai Madaam
Ho Gaya Din Tamaam Raat Aai

Maah-O-Khurshid-O-Baad Sabhi
Usaki Khaatir Hue Hain Saudaai

Kaise Kaise Kiye Taraddud Jab
Rang Rang Usko Chiz Pahunchaai

Usko Tarjeeh Sab Ke Upar De
Lutf-E-Haq Ne Ki Izzat Afzaai

Hairat Aati Hai Uski Baaten Dekh
Khud-Sari Khud Sataai Khud-Raai

Shukr Ke Sajdon Main Ye Waajib Tha
Ye Bhi Karta Sajda Jabin Saai

So To Uski Tabiyat-E-Sarkash
Sar Na Laai Faro Ke Tuk Laai

‘Meer’ Na Cheez Musht-E-Khaak Allah
Us Ne Ye Kibriya Kahaan Paai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>