Meer - Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati,

 Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati


Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati, Chup Ke Rahna Thana Hai
Haal Agar Hai Aisa Hi To Ji Se Jaana Jaana Hai

Surkh Kabhu Hai Aansu Hoke Zard Kabhu Hai Munh Mera
Kya Kya Rang Mohabbat Ke Hain, Ye Bhi Ek Zamana Hai

Fursat Hai Yaan Kam Rahne Ki, Baat Nahin Kuch Kahne Ki
Aankhain Khol Ke Kaan Jo Khole Bazm-E-Jahaan Afsana Hai

Tegh Tale Hi Us Ke Kyun Na Gardan Daal Ke Ja Baithe
Sar To Aakhirkaar Hamain Bhi Haath Ki Or Jhukana Hai

-------------------------

Post a Comment

2 Comments

  1. can somebody explain the meaning of this ghazal ...plz

    ReplyDelete
  2. Pehle sher mein hi hum pichad gaye. Koi to matlab batlaye

    ReplyDelete

–>