Meer - Faqiraana Aaye Sada Kar Chale

Faqiraana Aaye Sada Kar Chale


Faqiraana Aaye Sada Kar Chale
Miyan Khush Raho Ham Dua Kar Chale

Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kahte The Ham
So Is Ahd Ko Ab Wafa Kar Chale

Koi Naa-Ummeedana Karte Nigaah
So Tum Ham Se Munh Bhi Chhipa Kar Chale

Bahut Aarzu Thi Gali Ki Teri
So Yaan Se Lahu Main Naha Kar Chale

Dikhai Diye Yun Ki Bekhud Kiya
Hamain Aap Se Bhi Juda Kar Chale

Jabin Sajda Karte Hi Karte Gai
Haq-E-Bandagi Ham Adaa Kar Chale

Parastish Ki Yaan Tain Ki Ayi But Tujhe
Nazar Main Sabon Ki Khuda Kar Chale

Gai Umr Dar Band-E-Fikr-E-Ghazal
So Is Fan Ko Aisa Badaa Kar Chale

Kahen Kya Jo Puchhe Koi Ham Se “Meer”
Jahaan Main Tum Aaye The, Kya Kar Chale

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>