Jis Sar Ko Ghuroor Aaj Hai Yaan Taaj-Vari Ka
Kal Us Pe Yahin Shor Hai Phir Nauha-Gari Ka
Aafaq Ki Manzil Se Gaya Kaun Salamat
Asbaab Luta Raah Main Yaan Har Safari Ka
Zinda Main Bhi Shorish Na Gai Apne Junoon Ki
Ab Sang Madaava Hai Is Aashufta-Sari Ka
Har Zakhm-E-Jigar Daawar-E-Mahshar Se Hamara
Insaaf Talab Hai Teri Bedaada-Gari Ka
Is Rang Se Jhamke Hai Palak Par Ke Kahe Tu
Tukra Hai Mera Ashk Aqeeq-E-Jigri Ka
Le Saans Bhi Naazuk Ke Aahista Hai Bahut Kaam
Aafaaq Ki Is Kaargah-E-Shisha-Gari Ka
Tuk Meer-E-Jigar-Sokhta Ki Jald Khabar Le
Kya Yaar Bharosa Hai Chiraagh-E-Sahri Ka
-----------------------------
0 Comments