Ghalib - Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya

Phir Mujhe  Deeda-E-Tar Yaad Aaya

Phir Mujhe  Deeda-E-Tar Yaad Aaya
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya

Dam Liya Tha Na Qayaamat Ne Hanoz
Phir Tera  Waqt-E-Safar  Yaad Aaya

Saadgi   Haay   Tamanna,  Yaani
Phir Wo Nai-Rang-E-Nazar Yaad Aaya

Uzr-E-Waamaandagi Ai Hasarat-E-Dil
Naala  Karta  Tha  Jigar  Yaad  Aaya

Zindgi Yon Bhi Guzar Hi Jaati
Kyon  Tera  Raahguzar  Yaad Aaya

Kya Hi Rizwaan  Se Ladaayi Hogi
Ghar Tera Khuld Mein Gar Yaad Aaya

Aah Woh  Jurat-E-Fariyaad Kahaan
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya

Phir Tere Kooche Ko Jaata Hai Khayaal
Dil-E-Gum-Gashta  Magar   Yaad   Aaya

Koi Weeraani-Si-Weeraani Hai
Dasht Ko Dekh Ke  Ghar Yaad Aaya

Main Ne Majnoon  Pe Ladakpan Mein 'Asad'
Sang  Uthaaya Tha  Ki  Sar  Yaad  Aaya

 ----------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. "There are very high poetry statuses, you keep posting like this, I really liked this post"
    Yaad Shayari Poetry In Urdu

    ReplyDelete

–>