Isi Sarhad Pe Kal Dooba Tha Sooraj Ho Ke Do Tukde
Isi Sarhad Pe Kal Zakhmi Huyi Thi Subh-E-Aazaadi
Yeh Sarhad, Khoon Ki, Ashkon Ki, Aahon Ki, Sharaaron Ki
Jahan Boi Thi Nafrat, Aur Talwarein Ugaayeen Thi
Main Is Sarhad Pe Kab Se Muntazir Hoon Subh-E-Farda Ka
Yahan Mehboob Aankhon Ke Sitaare Tilmilaye The
Yahan Maashooq Chehre Aansuon Mein Jhilmilaye The
Yahan Beton Se Maa, Pyaari Behen, Bhai Se Bichhadi Thi
Ye Sarhad, Jo Lahoo Peeti Hai, Angarey Ugalti Hai
Hamari Khaak Ke Seeney Pe Naagin Ban Ke Chalti Hai
Sajaa Kar Jung Ke Hathiyaar, Maidan Mein Nikalti Hai
Yeh Sarhad, Phool Ki, Khushboo Ki, Rangon Ki, Bahaaron Ki
Watan Ke Aarizon Pe, Zulf Ki Maanind Lehraati
Dhanak Ki Tarah Hansti, Nadiyon Ki Tarah Bal Khaati
Mahakti, Jagamagati Ik Dulhan Ki Maang Ki Soorat
Jo Baalon Ko, Do Hisson Mein To Takseem Karti Hai
Magar Sindoor Ki Talwaar Se, Sandal Ki Ungli Se
Yeh Sarhad, Dilbaron Ki, Aashiqon Ki, Beqaraaon Ki
Yeh Sarhad, Doston Ki, Bhaaiyon Ki, Gham-Gusaaron Ki
Seher Ko Aaye Khursheed-E-Darakhshaan Paasbaan Bankar
Nigahbaani Ho Shab Ko Aasmaan Ke Chaand-Taron Ki
Zameen Paamal Ho Jaaye, Hare Kheton Ki Yoorish Se
Sipaahen Hamla-Aawar Hon Darakhton Ki Kataaron Ki
Khudaa Mehfooz Rakkhe Isko Ghairon Ki Nigaahon Se
Pade Na, Nazar Ispe, Khoon Ke Taajir, Taaj-Daaron Ki
Muhabbat Hukmaraan Ho, Husn Qaatil, Dil Maseeha Ho
Chaman Pe Aag Barse, Shola-Paikar, Gul-Izaaron Ki
Woh Din Aaye, Ke Aansoo Ho Ke Nafrat Dil Se Bah Jaaye
Woh Din Aay,E Ye Sarhad Bosa-E Lab Ban Ke Rah Jaaye
Yeh Sarhad, Manchalon Ki, Dil-Jalon Ki, Jaan-Nisaaron Ki
Yeh Sarhad, Sarzameen-E-Dil Ke Baanke Sheh-Sawaaron Ki
Yeh Sarhad, Kaj-Kulahon Ki, Yeh Sarhad Kaj-Adaaon Ki
Yeh Sarhad, Gulashan-E-Lahore-O-Dilli Ki Hawaaon Ki
Yeh Sarhad, Amn-O-Azaadi Ke Dil Afroz Khwaabon Ki
Yeh Sarhad, Doobte Taaron Ki, Ubharte Aaftaabon Ki,
Yeh Sarhad, Khoon Mein Lithde Pyaar Ke Zakhmi Gulabon Ki
Main Is Sarhad Pe Kabse Muntazir Hoon Subhe-E Farda Ka
------------------------
0 Comments