Sardar Jafri - Main Aur Meri Tanhaai

nazm- main aur meri tanhaai


Aavaara Hain Galiyon Men Main Aur Meri Tanhaai
Jaayen To Kahaan Jaayen Har Mod Pe Rusvaai

Ye Phool Se Chehre Hain Hanste Hue Guldaste
Koi Bhi Nahin Apnaa Begaane Hain Sab Raste
Raahen Hain Tamaashaai Rahi Bhi Tamashaai

Main Aur Meri Tanhaai

Armaan Sulagte Hain Seene Men Chitaa Jaise
Qaatil Nazar Aati Hai Duniyaa Ki Havaa Jaise
Roti Hai Mere Dil Par Bajti Hui Shahanaai

Main Aur Meri Tanhaai

Aakash Ke Maathe Par Taaron Kaa Charaaghaan Hai
Pahloo Men Magar Mere Zakhmon Ka Gulistaan Hai
Aankhon Se Lahoo Tapkaa Daaman Men Bahaar Aai

Main Aur Meri Tanhaai

Har Rang Men Ye Duniya Sau Rang Dikhaati Hai
Begunah Kaun Hai Us Shahar Men Qaatil Ke Siva

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>