Sardar Jafri - Main Jahaan Tum Ko Bulaata Hoon Vahaan Tak Aao

ghazal-main jahan tum ko bulata


Main Jahaan Tum Ko Bulaata Hoon Vahaan Tak Aao
Meri Nazron Se Guzar Kar Dil-O-Jaan Tak Aao

Phir Ye Dekho Ki Zamaane Ki Havaa Hai Kaisi
Saath Mere, Mere Firdaus-E-Javaan Tak Aao

Tegh Ki Tarah Chalo Chhod Ke Aaghosh-E-Niyaam
Teer Ki Tarah Se Aaghosh-E-Kamaan Tak Aao

Phool Ke Gird Phiro Baagh Men Maanind-E-Nasim
Misl-E-Paravaana Kisi Sham-E-Tapaan Tak Aao

Lo Vo Sadiyon Ke Jahannum Ki Haden Khatm Hui
Ab Hai Firdaus Hi Firdaus Jahaan Tak Aao

Chhod Kar Vaham-O-Gumaan Husn-E-Yaqin Tak Pahuncho
Par Yaqin Se Bhi Kabhi Vaham-O-Gumaan Tak Aao


-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>