Shaharyar - Misc. Asha'r

Misc ashaar


Too Kahaan Hai, Tujhse Ek Nisbat Thee Meri Zaat Ko
Kab Se Palkon Pe Uthaaye Phir Rahaa Hoon Raat Ko

Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thee Main Waqif Na Thaa
Be-Sabab Main Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko

——--------

Dil Men Utregee To Poochegi Junoon Kitnaa Hai
Nok-E-Khanjar Hi Bataayegi Ke Khoon Kitnaa Hai

Jamaa Karte Rahe Jo Apne Ko Zarraa Zarraa
Wo Ye Kyaa Jaane Bikharne Men Sukoon Kitnaa Hai

——--------

Ye Kyaa Hai, Muhabbat Men To Aisaa Naheen Hotaa
Main Tujhse Judaa Ho Ke Bhee Tanhaa Naheen Hotaa

Yaa Itni Na Tabdeel Hui Hoti Ye Duniyaa
Yaa Maine Ise Khwaab Men Dekhaa Naheen Hotaa

——--------

Ye Qaafile Yaadon Ke Kaheen Kho Gaye Hote
Ek Pal Bhee Agar Bhool Se Ham So Gaye Hote

Ai Shahr ! Teraa Naam-O-Nishaan Bhee Na Hotaa
Jo Haadise Hone The Agar Ho Gaye Hote

——--------

Shikvaa Koi Daryaa Ki Ravaani Se Naheen Hai
Rishtaa Hi Meree Pyaas Kaa Paani Se Naheen Hai

——--------

Use Gunaah Kahen Yaa Kahein Sawaab Ka Kaam
Nadee Ko Saunp Diyaa Pyaas Ne Saraab Ka Kaam

Hamaari Aankhen Ke Pehle Tokhoob Jaagti Hain
Aur Uske Baad Ye Karti Hain Sirf Khwaab Ka Kaam

----------

More Asha'r from Shaharyar 

Post a Comment

0 Comments

–>