Shaharyar - Ummid Se Kam Chashm-E-Kharidaar Men Aaye

ghazal-ummeed se kam



Ummid Se Kam Chashm-E-Kharidaar Men Aaye
Ham Log Zaraa Der Se Baazaar Men Aaye

Sabhi Ko Gham Hai Samandar Ke Khushk Hone Ka
Ki Khel Khatm Huaa Kashtiyaan Dubone Ka

Na Jiski Shakl Hai Koi Na Jiska Naam Hai Koi
Ek Aisi Shakl Ka Kyoon Hamen Azl Se Intezaar Hai

Phir Kahin Khwaab-O-Haqiqat Ka Tasaadum Hogaa
Phir Koi Manzil-E-Benaam Bulaati Hai Hamen

Zindagi Jaisi Tawaqqo Thi, Nahin, Kuchh Kam Hai
Har Ghari Hotaa Hai Ehsaas Kahin Kuchh Kam Hai

Log Sar Phor Kar Bhi Dekh Chuke
Gham Ki Diwaar Tootti Hi Nahin

Is Natije Pe Pohanchte Hain Sabhi Aakhir Men
Haasil-E-Sair-E-Jahaan Kuchh Nahin Hairaani Hai

Markaz-E-Dida-O-Dil Teraa Tasavvur Thaa Kabhi
Aaj Is Baat Pe Kitni Hansi Aati Hai Hamen

Woh Dekh Lo, Woh Samandar Khushk Hone Lagaa
Jise Thaa Daawa Meri Pyaas Bujhaane Ka

Zamin Teri Kashish Khinchti Rahi Hamko
Gaye Zaroor The Kuchh Door Mahtaab Ke Saath

----------------

Post a Comment

0 Comments

–>