Aatish - Shab-E-Wasl Thi Chandni Ka Samaan Tha

Shab-E-Wasl Thi

Shab-E-Wasl Thi Chandni Ka Samaan Tha
Bagahal Men Sanam Tha Khuda Meherbaan Tha

Mubarak Shab-E-Qdar Se Bhi Wo Shab Thi
Saher Tak Mah-Wa-Mushtari Ka Qaraan Tha

Who Shab Thi Ke Thi Roshni Jis Men Din Ki
Zameen Par Se Ek Noor Taa Aasmaan Tha

Nikaale The Do Chaand Us Ne Muqaabil
Wo Shab, Subh-E-Jannat Ka Jis Pe Gumaan Tha

Uroosi Ki Shab Ki Halawat Thi Haasil
Farh-Naak Thi Rooh, Dil Shaadmaan Tha

Mashaahid Jamal-E-Pari Kit Hi Ankhen
Makaan-E-Wisal Ek Tilismi Makaan Tha

Hozoori Nigahoon Ko Deedaar Se Thi
Khula Tha Wo Parda Ke Jo Darmiyaan Tha

Haqeeqat Dikhaata Tha Ishq-E-Majazi
Nihan Jis Ko Samjhe Huey The,Ayaan Tha

Yahan Khwab Ki Tarah Jo Kar Raha Hai
Yeh Qissa Hai Jab Ka Ki “Aatish” Jawaan Tha

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>