Jhonkaa Idhar Na Aaye Nasim-E-Bahaar Ka
Naazuk Bahut Hai Phool Charaagh-E-Mazaar Ka
Phir Baithe Baithe Waadaa-E-Wasl Us Ne Kar Liya
Phir Uth Khadaa Huaa Wahi Rog Intazaar Ka
Shaakho’n Se Barg-E-Gul Nahin Jhadte Hain Baagh Me
Zewar Utaar Raha Hai Uroos-E-Bahaar Ka
Har Gul Se Laala-Zaar Mein Ye Poochhta Hoon Main
Too Hi Pataa Bataade Dil-E-Daaghdaar Ka
Is Pyaar Se Fishaar Diyaa Gor-E-Tang Ne
Yaad Aa Gayaa Mazaa Mujhe Aaghosh-E-Yaar Ka
Hilti Nahin Hawaa Se Chaman Me Ye Daaliyaan
Munh Choomte Hain Phool Uroos-E-Bahaar Ka
Uthataa Hai Naazaa Me Wo Sarhaane Se Ai 'Ameer'
Mitaata Hai Aasara Dil-E-Ummeed-Waar Ka
-----------------------
0 Comments