Amir Minai - Kah Rahi Hai Hashr Main Wo Aankh Sharmaai Hui

ghazal-kah rahi hai


Kah Rahi Hai Hashr Main Wo Aankh Sharmaai Hui
Haaye Kaise Is Bhari Mahfil Main Ruswaai Hui

Aaine Main Her Adaa Ko Dekh Ker Kahte Hain Woh
Aaj Dekha Chahiye Kis Kis Ki Hai Aai Hui

Kah To Ai Gul-Cheen Asiraan-E-Qafas Ke Waaste
Tod Loon Do Chaar Kaliyaan Main Bhi Murjhai Hui

Main To Raaz-E-Dil Chhupaoon Per Chhipa Rahne Bhi De
Jaan Ki Dushman Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui

Humza-O-Naz-O-Adaa Sab Main Hai Haya Ka Lagaao
Haaye Re Bachpan Ki Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui

Wasl Main Khaali Hui Raqeebon Se Mahfil To Kya
Sharmaa Bhi Jaaye To Janoon Ke Tanhaai Hoi.

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>