Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahistaa-Aahista
Nikalta Aa Rahaa Hai Aaftaab Aahistaa-Aahista
Jawaan Hone Lage Jab Wo To Ham Se Kar Liya Parda
Hayaa Yak-Lakht Aai Aur Shabaab Aahistaa-Aahista
Shab-E-Furqat Ka Jaagaa Hoon Farishton Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Me Kar Lenaa Hisaab Aahistaa-Aahista
Sawaal-E-Wasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf Hai Itna
Dabe Honthon Se Dete Hain Jawaab Aahistaa Aahista
Hamaare Aur Tumhaare Pyar Men Bas Farq Hai Itna
Idhar To Jaldi-Jaldi Hai Udhar Aahistaa Aahista
Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahoon Un Se
Huzoor Aahistaa-Aahistaa Janaab Aahistaa-Aahistaa
--------------------------
1 Comments
I am really curious if this Ghazal is indeed by Ameer Meenai. I haven't been able to spot it in his Sanam Khana e Ishq or Miratulghaib.
ReplyDeleteAny ideas?
Thanks!