Us Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoon
Dhoondh Ne Us Ko Chalaa Hoon Jise Paa Bhi Na Sakoon
Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha
Kuchh Yeh Mehndi Nahin Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon
Zabt Kambakht Ne Aur Aa Ke Gala Ghonta Hai
Ke Use Haal Sunaoon To Sunaa Bhi Na Sakoon
Us Ke Pahlu Main Jo Leja Ke Sula Doon Dil Ko
Neend Aisi Use Aaye Ke Jagaa Bhi Na Sakoon.
Naqsh-E-Paa Dekh To Loon Laakh Karoonga Sajde
Sar Mera Arsh Nahin Hai Ki Jhukaa Bhi Na Sakoon
Bewafaa Likhte Hain Wo Apni Qalam Se Mujh Ko
Ye Wo Qismat Ka Likhaa Hai Jo Mita Bhi Na Sakoon.
-------------------
{ Ghalib’s ghazal In the same Radeef –
Meharbaan Ho Ke Bula Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt
Main Gaya Waqt Nahin Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakoon
Zauf Mein Taana-E-Aghyaar Ka Shikwa Kya Hai
Baat Kuchh Sar To Nahin Hai Ke Utha Bhi Na Sakoon
Zahar Milta Hi Nahin Mujhko Sitamgar Warna
Kya Qasam Hai Tere Milne Ki Ke Khaa Bhi Na Sakoon }
0 Comments