Daagh - Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen
Jaane waali Cheez Ka Gham Kya Karen

Poore Honge Apne Armaan Kis Tarah
Shauq Behad Waqt Hai Kam Kya Karen

Baksh Den Pyaar Ki Gustaakhiyaan
Dil Hii Qabu Main Nahin, Ham Kya Karen

Tund Khu Hai Kab Sune Wo Dil Ki Baat
Aur Bhi Barham Ko Barham Kya Karen

Ek Saaghar Par Hai Apni Zindegi
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen

Kar Chuke Sab Apni-Apni Hikmaten
Dam Nikalta Hai Ai Mere Hamadam Kya Karen

Dil Ne Sikhaa Shevaa-E-Begangi
Aise Naamuhrim Ko Muhrim Kya Karen

Maamla Hai Aaj Husn-O-Ishq Ka
Dekhiye Wo Kya Karen Ham Kya Karen

Kah Rahe Hain Ahal-E-Sifaarish Mujhse “Daagh”
Teri Qismat Hai Buri Ham Kya Karen

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>