Daagh - Gham Se Kahin Najaat Mile Chain Paayen Ham

Gham Se Kahin Najaat Mile

Gham Se Kahin Najaat Mile Chain Paayen Ham
Dil Khoon Main Nahaae To Ganga Nahaayen Ham

Jannat Main Jaayen Ham Ki Jahannum Main Jaayen Ham
Mil Jaae Tu Kahin Na Kahin Tujh Ko Paayen Ham

Mumkin Hai Ye Ki Vaade Pe Apne Wo Aa Bhi Jaae
Mushkil Ye Hai Ki Aap Main Us Waqt Aayen Ham

Naraaz Ho Khuda To Karen Bandagi Se Khush
Maashooq Rooth Jaae To Kyon Kar Manaayen Ham

Sar Doston Ke Kaat Kar Rakhe Hain Saamne
Ghairon Se Poochte Hain Qasam Kis Ki Khaayen Ham

Saunpa Tumhen Khuda Ko Chale Ham To Na-Muraad
Kuch Padh Ke Bakhshna Jo Kabhi Yaad Aayen Ham

Ye Jaan Tum Na Loge Agar Aap Jaayegi
Is Bewafa Ki Khair Kahaan Tak Manaayen Ham

Ham-Saaye Jaagte Rahe Naalon Se Raat Bhar
Soye Hue Naseeb Ko Kyon Kar Jagaayen Ham

Tu Bhulane Ki Cheez Nahin Khoob Yaad Rakh
Ai “Daagh” Kis Tarah Tujhe Dil Se Bhulaayen Ham

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>