Daagh - Kaabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-E-Butaan Ki Hai

Kaabe Ki Hai Hawas Kabhi



Kaabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-E-Butaan Ki Hai
Mujh Ko Khabar Nahin Meri Mitti Kahaan Ki Hai

Kuch Taazgi Ho Lazzat-E-Aazaar Ke Liye       
Har Dam Mujhe Talaash Naye Aasmaan Ki Hai

Hasrat Baras Rahi Hai Mere Mazaar Se
Kahte Hain Sab Ye Qabr Kisi Naujawaan Ki Hai

Qaasid Ki Guftagu Se Tasalli Ho Kis Tarah
Chhipati Nahin Wo Jo Teri Zabaan Ki Hai

Sun Kar Mera Fasana-E-Gham Us Ne Ye Kaha
Ho Jaaye Jhoot Sach, Yahi Khubi Bayaan Ki Hai

Kyun Kar Na Aae Khuld Se Aadam Zamin Par
Mauzun Vahin Wo Khoob Hai, Jo Shay Jahaan Ki Hai

Urdu Hai Jiska Naam Hamin Jaante Hain ‘Daagh’
Hindustaan Main Dhoom Hamaari Zabaan Ki Hai

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>