Dard - Tohmaten Chand Apne Zimme Dhar Chale



Tohmaten Chand Apne Zimme Dhar Chale
Jis Liye Aaye The So Ham Kar Chale

Zindegi Hai Ya Koi Tufaan Hai
Ham To Is Jine Ke Haathon Mar Chale

Kya Hamen Kaam Is Gulon Se Ai Saba
Ek Dam Aaye Idhar Udhar Chale

Dosto Dekha Tamasha Yaan Ka Sab
Tum Raho Khush Ham To Apne Ghar Chale

Aah Bas Ji Mat Jala Tab Jaaniye
Jab Koi Afsun Tera Us Paar Chale

Shamaa Ki Maanind Ham Is Bazm Main
Chashm-Nam Aaye The Daaman-Tar Chale

Dhundhte Hain Aap Se Usko Pare
Shekh Saahib Chhod Ghar Baahar Chale

Ham Jahaan Main Aaye The Tanhavaale
Saath Apne Ab Use Lekar Chale

Jun Sharaar Ai Hasti-E-Bebud Yaan
Baare Ham Bhi Apni Baari Bhar Chale

Ek Main Dil Resh Hun Vaisa Hi Dost
Zakhm Kitno Ka Suna Hai Bhar Chale

Ham Na Jaane Paaye Baahar Aap Se
Vo Bhi Aade Aa Gaya Jidhar Chale

Saaqiya Yaan Lag Raha Hai Chal Chalaao
Jab Talak Bas Chal Sake Saaghar Chale

“Dard” Kuch Maalum Hai Ye Log Sab
Kis Taraf Se Aaye The Kidhar Chale


 ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>