Tujhi Ko Jo Yaan Jalwa Farma Na Dekha
Baraabar Hai Duniya Ko Dekha Na Dekha
Mera Ghuncha-E-Dil Hai Woh Dil-Girifta
Ke Jis Ko Kaso Ne Kabhi Wa Na Dekha
Aziat, Musibat, Malaamat, Balaayen
Tere Ishq Main Ham Ne Kya Kya Na Dekha
Kiya Mujh Ko Daaghon Sarv-E-Chiraghaan
Kabho Tu Ne Aakar Tamasha Na Dekha
Taghaaful Ne Tere Ye Kuch Din Dikhaye
Idhar Tu Ne Lekin Na Dekha, Na Dekha
Hijaab-E-Rukh-E-Yaar The Aap Hi Ham
Khuli Aankh Jab, Koi Parda Na Dekha
Shab-O-Roz Aye “Dard” Darpaai Hun Us Ke
Kaso Ne Jise Yaan Samjha Na Dekha
--------------------------
0 Comments