Faiz - Chand Roz Aur Meri Jaan Faqat Chand Hi Roz

Chand Roz Aur Meri Jaan

Chand Roz Aur Meri Jaan Faqat Chand Hi Roz
Zulm Ki Chhaanv Main Dam Lene Par Majbur Hain Ham
Ik Zara Aur Sitam Sah Len Tadap Len Ro Len
Apne Ajdaad Ki Miraas Hai Maazur Hain Ham

Jism Par Qaid Hai Jazbaat Pe Zanjire Hai
Fikr Mahabus Hai Guftaar Pe Taaziren Hain
Aur Apni Himmat Hai Ki Ham Phir Bhi Jiye Jaate Hain
Zindegi Kya Kisi Muflis Ki Qaba Hai
Jis Main Har Ghadi Dard Ke Paiband Lage Jaate Hain

Lekin Ab Zulm Ki Miyaad Ke Din Thode Hain
Ik Zara Sabr Ki Fariyaad Ke Thode Hain

Arsa-E-Dahar Ki Jhulsi Hui Viraani Main
Ham Ko Rahna Hai Par Yun Hi To Nahin Rahna Hai
Ajnabi Haathon Ka Benaam Garaan-Baar Sitam
Aaj Sahna Hai Hamesha To Nahin Sahna Hai

Ye Teri Husn Se Lipti Hui Aalam Ki Gard
Apni Do Roza Jawani Ki Shikaston Ka Shumaar
Chaandni Raaton Ka Bekaar Dahakta Hua Dard
Dil Ki Besood Tadap Jism Ki Maayus Pukaar

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>