Faiz - Gulon Main Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale

Gulon Main Rang Bhare

Gulon Main Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobaar Chale

Qaffas Udaas Hai Yaro, Saba Se Kuch To Kaho
Kahin To Bahr-E-Khuda Aaj Zikr-E-Yaar Chale

Kabhi To Subh Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aagaz
Kabhi To Shab Sar-E-Kaakul Se Mushkabaar Chale

Bada Hai Dard Ka Rishta, Ye Dil Garib Sahi
Tumhaare Naam Pe Aayenge Gamgusaar Chale

Jo Ham Pe Guzri So Guzri Magar Shab-E-Hijraan
Hamaare Ashk Teri Aaqabat Sanwaar Chale

Huzoor-E-Yaar Hui Daftar-E-Junun Ki Talab
Girah Main Leke Garebaan Ka Taar Taar Chale

Maqaam ‘Faiz’ Koi Raah Main Jacha Hi Nahin
Jo Ku-E-Yaar Se Nikle To Su-E-Daar Chale

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>