Ham Ke Thahre Ajnabi Itne Madaraaton Ke Baad
Phir Banenge Aashna Kitni Mulaaqaton Ke Baad
Kab Nazar Main Aayegi Bedaag Sabze Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbe Dhulenge Kitni Barsaaton Ke Baad
Dil To Chaaha Par Shikast-E-Dil Ne Mohlat Hi Na Di
Kuch Gile-Shikve Bhi Kar Lete Munajaaton Ke Baad
The Bahut Bedard Lamhe Khatm-E-Dard-E-Ishq Ke
Thi Bahut Bemahar Subahe Meharbaan Raaton Ke Baad
Un Se Jo Kahne Gaye The “Faiz” Jaan Sadqa Kiye
Ankahi Hi Rah Gai Wo Bat Sab Baaton Ke Baad
-------------------------

1 Comments
lajawab
ReplyDelete