Ab Ke Ham Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Milen,
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Men Milen,
Dhoondh Ujde Hue Logon Mein Wafaa Ke Moti,
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milen,
Too Khudaa Hai Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa,
Donon Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milen,
Gham-E-Duniyaa Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo,
Nashaa Badhta Hai Sharaben Jo Sharaabon Mein Milen,
Aaj Ham Daar Pe Khenche Ge Jin Baaton Par,
Kya Ajab Kal Wo Zamaane Ko Nisaabon Mein Milen,
Ab Na Wo Main Hoon Na Too Hai Na Wo Maazi Hai “Faraaz”,
Jaise Do Saaye Tamannaa Ke Saraabon Mein Milen
-------------------------
0 Comments