Ranjish Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liyay Aa
Aa Phir Se Mujhay Chhod Ke Jaaney Ke Liyay Aa
Pahlay Se Maraasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To
Rasm-O-Rah-E-Duniya Ko Nibhaaney Ke Liyay Aa
Kis Kis Ko Bataayain Ge Judaai Ka Sabab Ham
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamaaney Ke Liyay Aa
Kuchh To Mere Pindaar-E-Mohabbat Ka Bharam Rakh
Too Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaaney Ke Liyay Aa
Ek Umr Se Hoon Lazzat-E-Giryaan Se Bhi Mahroom
Ai Raahat-E-Jaan Mujh Ko Rulaaney Ke Liyay Aa
Ab Tak Dil-E-Khush-Fahm Ko Hain Tujh Se Umeedain
Yeh Aakhri Shamain Bhi Bujhaaney Ke Liyay Aa
---------------------

0 Comments