Faraz - Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaaoon Use

Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah

Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaaoon Use,
Ghazal Bahaana Karoon Aur Gungunaaoon Use,

Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Maanind,
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gale Lagaaoon Use,

Ye Log Tazkire Karte Hain Apne Logon Se,
Main Kaise Baat Karoon Aur Kahaan Se Laaoon Use ,

Magar Wo Zood-Faraamosh Zood-Ranj Bhi Hai,
Ke Rooth Jaaye Agar Yaad Kuchh Dilaaoon Use ,

Wahi Jo Daulat-E-Dil Hai Wahi Jo Raahat-E-Jaan,
Tumhaari Baat Pe Ai Naasiho Ganwaaoon Use

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>