Faraz- Wafaa Ke Bhes Men Koi Raqeeb-E-Shahar Bhi Hai

Wafaa Ke Bhes Men Koi



Wafaa Ke Bhes Men Koi Raqeeb-E-Shahar Bhi Hai,
Hazar Ke Shahar Ke Qaatil Tabeeb-E-Shahar Bhi Hai,

Wahi Sipaah-E-Sitam Khema-Zan Hai Chaaron Taraf,
Jo Mere Bakht Mien Thaa Ab Nasib-E-Shahar Bhi Hai,

Udhar Ki Aag Idhar Bhi Pahunch Na Jaaye Kahin,
Hawa Bhi Tez Hai Jangal Qarib-E-Shahar Bhi Hai,

Ab Us Ke Hijr Mien Rote Hain Us Ke Ghaayal Bhi,
Khabar Na Thi Ke Wo Zaalim Habeeb-E-Shahar Bhi Hai,

Ye Raaz Naaraa-E-Mansoor Hi Se Ham Pe Khulaa,
Ke Choob-E-Mimbar-E-Masjid Saleeb-E-Shahar Bhi Hai

Kadi Hai Jang Ke Ab Ke Muqaabile Pe `Faraz`,
Amir-E-Shahar Bhi Hai Aur Khateeb-E-Shahar Bhi Hai

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>