Faraz - Ye Tabiyat Hai To Khud Aazaar Ban Jaayenge Ham

Ye Tabiyat Hai To Khud Aazaar
Ye Tabiyat Hai To Khud Aazaar Ban Jaayenge Ham,
Chaaragar Royenge Aur Ghamkhwaar Ban Jaayenge Ham,

Ham Sar-E-Chaak-E-Wafaa Hain Aur Teraa Dast-E-Hunar,
Jo Banaa Degaa Hamen Ai Yaar Ban Jaayenge Ham

Kyaa Khabar Thi Ai Nigaar-E-Sher Tere Ishq Men,
Dilbaraan-E-Shahar Ke Dildaar Ban Jaayenge Ham ,

Sakht Jaan Hain Par Hamaari Ustawaari Par Na Jaa,
Aise Tootenge Teraa Iqaraar Ban Jaayenge Ham ,

Aur Kuchh Din Baithne Do Koo-E-Jaanaan Men Hamen,
Rafta Rafta Saayaa-E-Deewaar Ban Jaayenge Ham ,

Is Qadar Aasaan Na Hogi Har Kisi Se Dosti,
Aashnaai Men Teraa Mayaar Ban Jaayenge Ham,

Mir-O-Ghaalib Kya Ke Ban Paaye Nahin Faiz-O-Firaaq ,
Zam Ye Tha Roomi-O-Ataar Ban Jaayenge Ham,

Dekhne Men Shaakh-E-Gul Lagte Hain Lekin Dekhanaa
Dast-E-Gul-Cheen Ke Liye Talwaar Ban Jaayenge Ham

Ham Chiraaghon Ko To Taareeki Se Ladna Hai 'Faraz'
Gul Hue Par Subah Ke Aasaar Ban Jaayenge Ham

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>