Faraz - Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Sabaa Kahte Hain

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Sabaa Kahte Hain,
Jaane Kyaa Daur Hai Kyaa Log Hain Kyaa Kahte Hain,

Kyaa Qayaamat Hai Ke Jin Ke Liye Ruk Ruk Ke Chale,
Ab Wahi Log Hamen Aabla-Paa Kahte Hain,

Koi Batalaao Ke Ik Umr Kaa Bichharha Mahboob ,
Ittefaaqan Kahin Mil Jaaye To Kyaa Kahte Hain,

Ye Bhi Andaaz-E-Sukhan Hai Ke Jafaa Ko Teri,
Ghamzaa-O-Ishwaa-O-Andaaz-O-Adaa Kahte Hain,

Jab Talak Door Hai Too Teri Parastish Kar Len,
Ham Jise Chhoo Na Saken Us Ko Khudaa Kahte Hain,

Kyaa Ta`Ajjub Hai Ke Ham Ahl-E-Tamannaa Ko `Faraaz`
Wo Jo Mahroom-E-Tamannaa Hain Bura Kahte Hain.

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>