Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho - Rahat Indori

Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka

Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho
Ye Zindegi To Hai Rahmat Ise Saza Na Kaho

Na Jaane Kaun Si Majburiyon Ka Qaidi Ho
Wo Saath Chhod Gaya Hai To Bewafa Na Kaho

Tamaam Shahar Ne Nezon Pe Kyun Uchhala Mujhe
Ye Ittefaaq Tha Tum Is Ko Hadsa Na Kaho

Ye Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Aaj Magar
Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho

Hamaare Aib Hamain Ungaliyon Pe Ginwaao
Hamaari Peeth Ke Piche Hamain Bura Na Kaho

Main Waqiyaat Ki Zanjeer Ka Nahin Qaayal
Mujhe Bhi Apne Gunaahon Ka Silsila Na Kaho

Ye Shahar Wo Hai Jahaan Raakshas Bhi Hai “Rahat”
Har Ek Taraashe Hue But Ko Dewta Na Kaho

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>