After one year of reciting Shikwa Iqbal presented Jawab-e-Shikwa in 1913 at a famous public place Outside Mochi Gate of Lahore City. Jawab-e-Shikwa contains 36 stanzas of six lines or verses each. This thrilling poem in a way was a call from God rather than a reply to Iqbal’s complaint. It added fire to the already boiling blood of the nation after Iqbal’s Shikwa, as a result, the Indian Muslims arose with a new life filled with enthusiasm, courage and a determination to change their fate. Inspired by Iqbal’s songs they were united, fought the war of independence and achieved victory.
Jawab-e-Shikwa
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai,
Par Nahin, Taaqat-E-Parwaaz Magar Rakhti Hai.
Qudsi-Ul-Asal Hai, Rif-Atpe Nazar Rakhti Hai,
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai.
Ishq Tha Fitna Gar-O-Sarkash-O-Chalaak Mera,
Aasman Cheer Gaya Nala-E-Bebaak Mera.
Peer-E-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!
Bole Sayyaare, Sar-E-Arsh-E-Barin Hai Koi!
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-E-Zamin Hai Koi!
Kahkashaan Kahti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!
Kuchh Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Ruzwan Samjha,
Mujhe Jannat Se Nikala Hua Insaan Samjha.
Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Aawaaz Hai Kya!
Arsh Waalon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!
Taa Sar-E-Arsh Bhi Insaan Ki Tag-O-Taaz Hai Kya
Aa Gai Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya
Ghaafil Aadaab Se Yeh Sukkaam-E-Zamin Kaise Hain,
Shokh-O-Gustaakh Yeh Pasti Ke Makin Kaise Hain,
Is Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai,
Tha Jo Masjud-E-Malaik Yeh Wohi Aadam Hai
Aalam-E Kaif Hai, Dana-E-Ramuz-E-Kam Hai,
Haan, Magar Ijaz Ke Asrar Se Namahram Hai.
Naaz Hai Taaqat-E-Guftaar Pe Insaanon Ko,
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadaanon Ko!
Aai Aawaaz Ghum-Angez Hai Afsana Tera,
Ashk-E-Betaab Se Labrezhai Paimana Teera.
Aasmaan-Gir Hua Na’ra-E-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh-Zubaan Hai Dil-E-Deewana Tera
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-E-Ada Se Tu Ne,
Hum Sakhun Kar Diyabandon Ko Khuda Se Tu Ne.
Ham To Maayal-Ba-Karam Hain Koi Saail Hi Naheen
Rah Dikhlain Kise Rahrav-E- Manzil Hi Naheen.
Tarbiat Aam To Hai Johar-E- Qaabil Hi Naheen
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki, Ye Wo Gul Hi Naheen
Koi Qaabil Ho To Ham Shaan Kai Detay Hain
Dhoondhne Waale Ko Dunyaa Bhi Nai Detay Hain.
Haath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain,
Ummati Baais-E-Ruswai-E-Paighamber Hain.
But-Shikan Uth Gaye, Baaqi Jo Rahe But-Gar Hain,
Tha Brahim Pidar, Aur Pisar Aazar Hain.
Baada Aasham Naye Baaqi Naya Khum Bhi Naye,
Harm-E-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye.
Wo Bhi Din Thay Ke Yehi Maaya-E-Raanaai Tha
Naazishi Mausam-E- Gul Laala-E- Sahraai Tha
Jo Musalmaan Tha Allah Ka Shaidai Tha
Kabhi Mahboob Tumhaara Yehi Harjaai Tha
Kisi Yakjaai Se Ab Ahd-E- Ghulaami Kar Lo
Millat-E- Ahmad-E- Mursil Ko Moqami Kar Lo
Kis Qadar Tum Pe Garaan Subh Ki Be-Daari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai, Haan Neend Tumhen Pyari Hai
Tab’a Aazaad Pe Qaid-E-Ramzaan Bhari Hai
Tumhin Kah Do Yehi Aain-E-Wafa-Daari Hai
Qaum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin Tum Bhi Nahin
Jazb-E-Baaham Jo Nahin, Mahfil-E-Anjum Bhi Nahin
Jin Ko Aata Nahin Duniya Mein Koi Fun, Tum Ho
Nahin Jis Qaum Ko Parwah-E-Nasheman, Tum Ho
Bijliyan Jis Mein Hon Aasooda Who Khirman, Tum Ho
Bech Khaate Hain Jo Islaf Ke Madfun, Tum Ho
Ho Nako-Naam Jo Qabron Ki Tijaarat Kar Ke
Kya Na Becho Ge Jo Mil Jaayen Sanam Pathhar Ke
Safah-E- Dahr Se Baatil Ko Mitaaya Kis Ne
Nau-E- Insaan Ko Ghulami Sey Chhuraaya Kis Ne
Mere Kaabe Ko Jabeenon Sey Basaaya Kis Ne
Merey Qur’an Ko Seenon Sey Lagaya Kis Ne
Thay To Aaba Wo Tumharay Hi Magar Tum Kya Ho
Haath Par Haath Dharay Muntazir-E- Farda Ho
Kya Kaha Bahr-E-Musalman Hai Faqat Waada-E-Hoor
Shikwa Beja Bhi Kare Koi To Laazim Hai Shaoor
Adl Hai Faatir-E- Hasti Ka Azal Se Dastoor
Muslim Aaeen Hua Kafir, To Milay Hoor-O-Qasoor
Tum Men Hooron Ka Koi Chaahnay Waala Hi Naheen
Jawa-E-Toor To Maujood Hai Moosa Hi Naheen
Munfait Ek Hai Is Qaum Ki, Nuqsaan Bhi Ek,
Ek Hi Sab Ka Nabi, Din Bhi, Imaan Bhi Ek,
Harm-E-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Ek,
Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Ek!
Firqa-Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaaten Hain.
Kya Zamane Mein Panpaneki Yehi Baaten Hain
Jaa Ke Hote Hain Masaajid Mein Saf-Aara To Gharib,
Zahmat-E-Roza Jo Karte Hain Gawara Tau Gharib.
Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Gharib,
Pardah Rakhta Hao Agar Koi Tumhara, Tau Gharib.
Umra Nasha-E-Daulat Mein Hain Ghafil Hum Se,
Zinda Hai Millat-E-Baiza Ghurba Ke Dam Se.
Waaiz-E-Qaum Ki Who Pukhta-Khayali Na Rahi
Barq-Taba’i Na Rahi Sho’la-Maqami Na Rahi
Rah Gai Rasm-E-Azaan, Rooh-E-Hilali Na Rahi
Falsafa Rah Gaya, Talqeen Ghazaali Na Rahi
Masjiden Marsiya-Khwan Hain Ke Namazi Na Rahe
Ya’ni Woh Sahib-E-Ausaaf Hijaazi Na Rahe
Shor Hai Ho Gaye Duniya Se Musalmaan Naabood
Hum Yeh Kahte Hain Ke They Bhi Kahin Muslim Maujood
Waza’ Mein Tum Ho Nasaara To Tamaddun Mein Hunood
Yeh Musalmaan Hain Jinhen Dekh Ke Sharmaayen Yahood
Yun To Sayed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuchh Ho Bataao To Musalmaan Bhi Ho
Har Musalmaan Rag-E-Baatil Ke Liye Nashtar Tha
Us Ke Aaina-E-Hasti Mein Amal-E-Jauhar Tha
Jo Bharosa Tha Usey Quwwat-E-Baazoo Par Tha
Hai Tumhen Maut Ka Dar, Us Ko Khuda Ka Dar Tha
Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho,
Phir Pisar Qabil-E-Miraas-E-Pidar Kyonkar Ho
Har Koi Mast-E-Mai-E-Zauq-E-Tan Aasaani Hai,
Tum Musalmaan Ho Yeh Andaaz-E-Musalmaani Hai
Haidari Fuqr Hai, Nai Daulat-E-Usmaani Hai
Tum Ko Aflaas Se Kya Nisbat-E-Roohani Hai
Who Zamaane Mein Mua’zziz The Musalmaan Ho Kar
Aur Tum Khwar Huey Tarak-E-Quraan Ho Kar
Tum Ho Aapas Mein Ghazabnaak Wo Aapas Mein Raheem
Tum Khata-Kaar Wa Khataabin, Wo Khta-Posh Wa Kareem
Chaahte Sab Hain Ke Hon Auj-E-Surayya Pe Muqeem,
Pahle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-E-Salim
Takht-E-Faghfoor Un Ka Tha, Sareer-E-Kai Bhi
Yun Hi Baaten Hain Ke Tum Mein Who Hamiyat Hai Bhi
Ahd-E-Nau Barq Hai, Aatish Zan-E-Har Khirman Hai,
Aiman Is Se Koi Sahra No Koi Gulshan Hai.
Is Nai Aag Ka Aqwaam-E-Kuhan Eindhan Hai,
Millat-E-Khatam-E-Rasul Sho’la Ba Pairahan Hai.
Aaj Bhi Ho Jo Ibrahim Ka Eimaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-E-Gulistaan Paida
Dekh Kar Range-E-Chaman Ho Na Pareshan Maali,
Kookab-E-Ghuncha Se Shaakhen Hain Chamakne Wali,
Khas-O-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khaali,
Gul Bar Andaaz Hai Khun-E-Shuhda Ki Laali.
Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai,
Yeh Nikalte Hue Suraj Ki Ufaq Taabi Hai.
Ummateen Gulshan-E-Hasti Men Samar Cheeda Bhi Hain
Aur Mahroom-E- Samar Bhi Hain Khizan Deeda Bhi Hain
Saikron Nakhl Hain Kaaheeda Bhi Baaleeda Bhi Hain
Saikron Batn-E- Chaman Men Abhi Posheeda Bhi Hain
Nakhl-E- Islam Namoona Hai Bromandi Ka
Phal Hai Ye Saikron Saddiyon Ki Chaman Bandi Ka.
Paak Hai Gard-E- Watan Se Sar-E Daaman Tera
Too Wo Yusuf Hai Ke Har Misr Hai Kana’an Tera
Qaafla Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
Ghair Yek Bang-E- Dara Kuch Naheen Saamaan Tera
Nakhl Shama Asti Wa Dar Shola Dawad Resha-E- Too
Aaqibat Soz Bawad Saaya-E-Andesha-E-Too
Chashm-E-Aqwam Se Makhfi Hai Haqeeqat Teri
Hai Abhi Mahfil-E-Hasti Ko Zaroorat Teri
Zinda Rakhti Hai Zamaane Ko Haraarat Teri
Kaukab Qismat Imkaan Hai Khilaafat Teri
Waqt-E-Fursat Hai Kahan,Kaam Abhi Baaqi Hai
Noor-E-Tauheed Ka Atmaam Abhi Baqi Hai
Misl-E- Boo Qaid Hai Ghunche Men Parishaan Hoja
Rakht Bardaush Hawaa-E- Chamanistaan Hoja
Hai Tunak Maya, To Zarrey Se Biyabaan Hoja
Naghma-E- Mauj Se Hangaama-E- Toofaan Hoja
Quwwat-E- Ishq Se Her Past Ko Baalaa Kar De
Dahr Men Ism-E-Muhammad Se Ujala Kar De
Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-E- Dahr Men Kalyon Ka Tabassum Bhi Na Ho
Ye Na Saaqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho Khum Bhi Na Ho
Bazm-E- Tawheed Bhi Dunya Bhi Na Ho Tum Bhi Na Ho
Khema Aflaak Ka Istaada Isi Naam Se Hai
Nabz-E- Hasti Tapish-Aamada Isi Naam Se Hai
Dasht Mein, Daaman-E-Kuhsaar Mein, Maidan Mein Hai
Bahr Mein, Mauj Ki Aaghosh Mein, Toofaan Mein Hai
Cheen Ke Shahr, Maraakash Ke Bayabaan Mein Hai
Aur Poshida Musalmaan Ke Imaan Mein Hai
Chashm-E-Aqwaam Yeh Nazaara Abad Tak Dekhe
Raf’ate Shaan, “Rafa’na Laka Zikrak” Dekhe
Aql Hai Teri Sipar Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere Darvesh Khilaafat Hai Jehaangir Teri
Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Too Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbir Teri
Kee Muhammad Se Wafa Too Ne To Ham Tere Hain
Ye Jahaan Cheez Hai Kya Lauh-O-Qalam Tere Hain
------------------------
0 Comments