Iqbal - Jinhen Main Dhundhta Tha Aasmanon Mein Zaminon Mein

Jinhen Main Dhundhta Tha Aasmanon Mein

Jinhen Main Dhundhta Tha Aasmanon Mein Zaminon Mein
Wo Nikle Mere Zulmat-E-Khaana-E-Dil Ke Makinon Mein

Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Surat Udte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzarti Hain Mahinon Mein

Mujhe Roke Ga Too Ai Nakhuda Kya Gharq Hone Se
Ke Jin Ko Doobna Hai Doob Jaate Hain Safinon Mein

Jala Sakti Hai Sham-E-Kushta Ko Mauj-E-Nafas Un Ki
Ilaahi Kya Chhupa Hota Hai Ahl-E-Dil K Sinon Mein

Tamanna Dard-E-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqiron Ki
Nahin Milta Ye Gauhar Badshahon Ke Khazinon Mein

Muhabbat Ke Liye Dil Dhoondh Koi Tootne Wala
Ye Wo Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Aabginon Mein

Bura Samajhoon Unhen Mujh Se To Aisa Ho Nahin Sakta
Ke Main Khud Bhi To Hoon "Iqbal" Apne Nukta-Chinon Mein

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>