Iqbal - “Tarana-E-Milli” -Cheen-O-Arab Hamara, Hindustan Hamara

Cheen-O-Arab Hamara, Hindustan Hamara

Cheen-O-Arab Hamara, Hindustan Hamara
Muslim Main Hum, Watan Hai Sara Jahan Hamara

Tauheed Ki Amaanat Seenon Main Hai Hamare
Asaan Nahin Mitaana Naam-O-Nishaan Hamara

Duniya Ke But-Kadon Mein, Wo Pehla Ghar Khuda Ka
Hum Uss Ke Pasbaan Hain, Wo Paasbaan Hamara

Teghon Ke Saaye Main Hum Pal Kar Jawan Huway Hain
Khanjer Hilaal Ka Hai Qaumi Nishan Hamara

Maghrib Ki Waadiyon Mein Goonji Azaan Hamari
Thaamta Na Tha Kisi Se Sail-E-Rawaan Hamara

Baatil Say Dabne Wale, Ai Aasman Nahin Hum
Sau Baar Kar Chuka Hai Tu Imtihaan Hamara

Ai Gulsitaan-E-Undlus Wo Din Hain Yaad Tujh Ko
Tha Teri Daaliyon Per Jab Aashiyaan Hamara

Ai Mauj-E-Dajla Tu Hi Pehchaanti Hai Hum Ko
Ab Tak Hai Tera Darya Afsaana-Khwan Hamara

Ai Arz-E-Paak Teri Hurmat Pe Kat Marein Hum
Hai Khoon Teri Ragon Mein Ab Tak Rawaan Hamara

Saalaar-E-Kaarwan Hai Meer-E-Hijaaz (PBUH) Apna
Iss Naam Se Hai Baaqi, Aaraam-E-Jaan Hamara

‘Iqbal’ Ka Taraana Baang-E-Dara Hai Goya
Hota Hai Jada Paima, Phir Kaarwan Hamara

------------------------

Post a Comment

2 Comments

  1. Kya koi isko hindi explain kar sakta hai mujhe bataye plees

    ReplyDelete
    Replies
    1. Me kar sakta hu per wo bohot bada hai kaise batau

      Delete

–>