Jaan nisar Akhtar - Mauj-E-Gul, Mauj-E-Sabaa, Mauj-E-Sahar Lagti Hai


Mauj-E-Gul, Mauj-E-Sabaa, Mauj-E-Sahar Lagti Hai
Sar Se Paa Tak Vo Samaan Hai Ki Nazar Lagti Hai

Hamne Har Gaam Sajdon E Jalaaye Hain Chiraagh
Ab Teri Raah-Guzar Raah-Guzar Lagti Hai

Lamhe Lamhe Basi Hai Teri Yaadon Ki Mahak
Aaj Ki Raat To Khushbu Ka Safar Lagti Hai

Jal Gaya Apna Nasheman To Koi Baat Nahin
Dekhna Ye Hai Ki Ab Aag Kidhar Lagti Hai

Saari Duniyaa Men Gharibon Ka Lahu Bahta Hai
Har Zamin Mujhko Mere Khoon Se Tar Lagti Hai

Vaaqyaa Shahar Men Kal To Koi Aisa Na Hua
Ye To "Akhtar" Ke Daftar Ki Khabar Lagti Hai

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>