Jan Nisar Akhtar - Fursat-E-Kaar Faqat Chaar Ghadi Hai Yaaro

Fursat-E-Kaar Faqat Chaar Ghadi

Fursat-E-Kaar Faqat Chaar Ghadi Hai Yaaro
Ye Na Socho Ke Abhi Umr Padi Hai Yaaro

Apne Taareek Makaanon Se To Baahar Jhaanko
Zindagi Shamma Liye Dar Pe Khadi Hai Yaaro

Unke Bin Jee Ke Dikha Denge Chalo Yoon Hi Sahi
Baat Itni Si Hai Ke Zid Aan Padi Hai Yaaro

Faaslaa Chand Qadam Ka Hai Manaa Len Chal Kar
Subah Aai Hai Magar Door Khadi Hai Yaaro

Kis Ki Dahleez Pe Le Jaake Sajaaoon Is Ko
Beech Raste Men Koi Laash Padi Hai Yaaro

Jab Bhi Chaahen Ge Zamaane Ko Badal Daalen Ge
Sirf Kahne Ke Liye Baat Badi Hai Yaaro

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>