Jan Nisar Akhtar - Subah Ki Aas Kisi Lamhe Jo Ghat Jaati Hai

Subah Ki Aas Kisi Lamhe

Subah Ki Aas Kisi Lamhe Jo Ghat Jaati Hai
Zindagi Saham Ke Khvaabon Se Lipat Jaati Hai

Shaam Dhalte Hi Tera Dard Chamak Uthtaa Hai
Teergi Door Talak Raat Ki Chhat Jaati Hai

Barf Seenon Ki Na Pighle To Yahi Rood-E-Hayaat
Joo-E-Kam-Aab Ki Maanind Simat Jaati Hai

Aahaten Kaun Si Khvaabon Men Basi Hai Jaane
Aaj Bhi Raat Gaye Neend Uchat Jaati Hai

Haan Khabardaar Ki Ik Laghzish-E-Paa Se Bhi Kabhi
Saari Taareekh Ki Raftaar Palat Jaati Hai

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>