Kaam Aakhir Jazbaa-E-Be-Ikhtiyaar Aa Hi Gaya
Dil Kuch Is Surat Se Tadpa Un Ko Pyaar Aa Hi Gaya
Jab Nigaahen Uth Gai Allah Re Meraaj-E-Shauq
Dekhta Kya Hoon Wo Jaan-E-Intezaar Aa Hi Gaya
Haaye Ye Husn-E-Tasawwur Ka Fareb-E-Rang-O-Bu
Main Ne Samjha Jaise Wo Jaan-E-Bahaar Aa Hi Gaya
Haan Saza De Ai Khuda-E-Ishq Ai Taufeeq-E-Gam
Phir Zabaan-E-Be-Adab Par Zikr-E-Yaar Aa Hi Gaya
Is Tarah Khush Hoon Kisi Ke Wada-E-Farda Pe Main
Dar-Haqeeqat Jaise Mujh Ko Aitbaar Aa Hi Gaya
Haa_E Kaafir Dil Ki Ye Kaafir Junoon-Angeziyaan
Tum Ko Pyaar Aaye Na Aaye Mujh Ko Pyaar Aa Hi Gaya
Dard Ne Karawat Hi Badli Thi Ki Dil Ki Aad Se
Dafatan Parda Utha Aur Pardadaar Aa Hi Gaya
Jaan Hi De Di Jigar Ne Aaj Paa-E-Yaar Par
Umr Bhar Ki Beqaraari Ko Qaraar Aa Hi Gaya
----------------------------
0 Comments