Ham Hai’n Mataa-E-Koochaa-O-Baazaar Ki Tarah
Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Ki Tarah
Is Koo-E-Tishnagi Me’n Bahut Hai Ke Ek Jaam
Haath Aa Gayaa Hai Daulat-E-Bedaar Ki Tarah
Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas
Phirti Hai Koi Shay Nigaah-E-Yaar Ki Tarah
Seedhi Hai Raah-E-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi
Kham Ho Gai Hai Gesoo-E-Diladaar Ki Tarah
Ab Jaa Ke Kuch Khula Hunar-E-Naakhoon-E-Junoon
Zakhm-E-Jigar Hue Lab-O-Rukhsaar Ki Tarah
'Majrooh' Likh Rahe Hai’n Wo Ahal-E-Wafaa Kaa Naam
Ham Bhi Khade Hue Hai’n Gunahagaar Ki Tarah
--------------------------
0 Comments