Momin - Jalta Hoon Hijr-E-Shaahid-O-Yaad-E-Sharaab Main

 Jalta Hoon Hijr-E-Shaahid
Jalta Hoon Hijr-E-Shaahid-O-Yaad-E-Sharaab Main
Shauq-E-Sawaab Ne Mujhe Daala Azaab Main

Kahte Hain Tum Ko Hosh Nahin Iztaraab Main
Saare Gile Tamaam Hue Ek Jawaab Main

Phaili Shamim-E-Yaar Mere Ashk-E-Surkh Se
Dil Ko Gazab Fishaar Hua Pech-O-Taab Main

Rahte Hain Jama Kucha-E-Jaanaan Main Khaas-O-Aam
Aabad Ek Ghar Hai Jahaan-E-Kharaab Main

Badnaam Mere Giriya-E-Rusva Se Ho Chuke
Ab Uzr Kya Raha Nigaah-E-Behijaab Main

Matlab Ki Justaju Ne Ye Kya Haal Kar Diya
Hasrat Bhi Nahin Dil-E-Nakamyaab Main

Nakamiyon Se Kaam Raha Umr Bhar Hamen
Piri Main Yaas Hai Jo Havas Thi Shabaab Main

Kya Jalwe Yaad Aaye Ke Apni Khabar Nahin
Be-Baada Mast Hoon Main Shab-E-Mahtab Main

Paiham Sajud Paa-E-Sanam Par Dam-E-Vida
“Momin” Khuda Ko Bhool Gaye Iztaraab Main

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>