Naavak Andaaz Jidhar Deeda-E-Jaanaan Honge
Neem-Bismil Kai’ Honge Kai’ Bejaan Honge
Taab-E-Nazzaara Nahin Aaina Kya Dekhne Doon
Aur Ban Jaayenge Tasvir Jo Hairaan Honge
Too Kahaan Jaayegi Kuchh Apnaa Thikaana Kar Le
Ham To Kal Khwaab-E-Adam Men Shab-E-Hijraan Honge
Phir Bahaar Aai Wahi Dasht-E-Nawardi Hogi
Phir Wahi Paaon Wahi Khaar-E-Mughlaan Honge
Naasiha Dil Men Too Itna To Samajh Apne, Ki Ham
Laakh Naadaan Huye, Kya Tujh Se Bhi Naadaan Honge
Ek Ham Hain Ke Huye Aise Pashemaan, Ke Bas
Ek Wo Hain Ke Jinhen Chaah Ke Armaan Honge
Minnat-E-Hazarat-E-Eisaa Na Uthaayenge Kabhi
Zindagi Ke Liye Sharminda-E-Ehsaan Honge
Umr To Saari Kati Ishq-E-Butaan Men "Momin"
Ab Aakhiri Waqt Men Kya Khaak Musalamaan Honge
-------------------------
0 Comments