Momin - Tauba Hai Ke Ham Ishq Buton Kaa Na Karein Ge

Tauba Hai Ke Ham Ishq Buton Kaa Na Karein Ge

Tauba Hai Ke Ham Ishq Buton Kaa Na Karein Ge
Wo Karte Hain Ab, Jo Na Kia Thaa, Na Karein Ge

Thehri Hai Ke Thehraayen Ge Zanjeer Se Dil Ko
Par Barhami-E-Zulf Ka Saudaa Na Karein Ge

Andesha-E-Mizgaan Mein Agar Khoon Ne Kia Josh
Nishtar Se Ilaaj-E-Dil-E-Deewaana Karein Ge

Gar Aarzuu-E-Wasl Ne Beemaar Kia To
Parhez Karein Ge Pe Madaavaa Na Karein Ge

Rakh Leven Ge Pathar Magar Un Sang-Dilon Ko
Chaati Se Lagaane Ki Tamannaa Na Karein Ge

Hai Ahed Ke Phir Jaa Na Phiren Koo-E-Butaan Mein
Phir Jaayen Ab Is Ahed Se, Aisaa Na Karein Ge

Ai Hazrat-E-Momin! Ye Musallim Jo Hai Irshaad
Bhoole Se Bhi Ab Zikr Buton Kaa Na Karein Ge

Lekin Jo Buton Ne Bhala Aap Se Kee Baat
Phir Aap Hi Farmaayen Ke Kyaa Kyaa Na Karein Ge

Na Sabar-O-Sukoon Ka Ghar Mein Yaaraa Mujhko,
Na Koocha-E-Yaar Mein Guzaara Mujhko,

Seemaab Ki Tarah Ek Dam Chain Nahin,
Betaabi-E-Dil Ne, Aah, Maaraa Mujko.

---------------------------


Post a Comment

0 Comments

–>