Kahin Chhat Thi Deevaar-O-Dar The Kahin
Milaa Mujhko Ghar Ka Pataa Der Se
Diya To Bahut Zindagi Ne Mujhe
Magar Jo Diyaa Wo Diyaa Der Se
Huaa Na Koi Kaam Maamool Se
Guzaare Shab-O-Roz Kuchh Is Tarah
Kabhi Chaand Chamka Ghalat Waqt Par
Kabhi Ghar Men Sooraj Ugaa Der Se
Kabhi Ruk Gaye Raah Men Be-Sabab
Kabhi Waqt Se Pahle Ghir Aai Shab
Huye Band Darwaaze Khul Khul Ke Sab
Jahaan Bhi Gayaa Main Gayaa Der Se
Ye Sab Ittifaaqaat Ka Khel Hai
Yahi Hai Judaai Yahi Mel Hai
Main Mud-Mud Ke Dekha Kiya Door Tak
Bani Wo Khaamoshi, Sadaa Der Se
Sajaa Din Bhi Raushan Hui Raat Bhi
Bhare Jaam Lahraai Barsaat Bhi
Rahe Saath Kuchh Aise Haalaat Bhi
Jo Honaa Thaa Jaldi Huaa Der Se
Bhatakti Rahi Yoon Hi Har Bandagi
Mili Na Kahin Se Koi Raushni
Chhupa Tha Kaheen Bheed Men Aadami
Huaa Mujh Men Raushan Khuda Der Se
--------------------
0 Comments