Qateel - Hijr Ki Pahli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye The

Hijr Ki Pahli Shaam Ke Saaye

Hijr Ki Pahli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye The
Ham Jab Us Ke Shahar Se Nikle Sab Raaste Sanwlaaye The

Jaane Wo Kyaa Soch Rahaa Thaa Apne Dil Men Saari Raat
Pyaar Ki Baaten Karte Karte Us Ke Nain Bhar Aaye The

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Usi Din Pat-Jhad Ki
Jis Din Apne Joode Men Us Ne Kuchh Phool Sajaaye The

Us Ne Kitne Pyaar Se Apnaa Kufr Diyaa Nazaraane Men
Ham Apne Imaan Ka Saudaa Jis Se Karne Aaye The

Kaise Jaati Mere Badan Se Beete Lamhon Ki Khushboo
Khwaabon Ki Us Basti Men Kuchh Phool Mere Ham-Saaye The

Kaisaa Pyaaraa Manzar Thaa Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Ped Pe Baithi Ik Chidiyaa Ne Apne Par Phailaaye The

Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Us Kaa Wo Kahna Haae "Qateel"
Tum Ko Laut Hi Jaanaa Thaa To Is Nagari Kyoon Aaye The

 ------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>