Purane Shahar Ke Manzar Nikalne Lagte Hain
Zamin Jahan Bhi Khule Ghar Nikalne Lagte Hain
Main Kholta Hoon Sadaf Motiyon Ke Chakkar Mein
Magar Yahaan Bhi Samandar Nikalne Lagte Hain
Haseen Lagte Hain Jaadon Ki Subah Mein Manzar
Sitare Dhoop Pahan Kar Nikalne Lagte Hain
Bure Dinon Se Bachana Mujhe Mere Maula
Qareebi Dost Bhi Bach kar Nikalne Lagte Hain
Bulandiyon Ka Tasavvur Bhi Khoob Hota Hai
Kabhi Kabhi To Mere Par Nikalne Lagte Hain
Agar Khayal Bhi Aa Jaye Ki Tujhko Khat Likhoon
To Ghonslon Se Kabootar Nikalne Lagte Hain
----------------------------

1 Comments
I think wrong ghazal
ReplyDelete