Sahir - Hiraas- Tere Honthon Pe Tabassum Ki Wo Halki Si Lakeer

Tere Honthon Pe Tabassum Ki Wo Halki Si Lakeer

Tere Honthon Pe Tabassum Ki Wo Halki Si Lakeer
Mere Takhaiyul Mein Rah Rah Ke Jhalak Uthti Hai
Yoon Achaanak Tere Aariz Ka Khayal Aata Hai
Jaise Zulmaat Mein Koi Shama’ Bhadak Uthti Hai

Tere Pairaahan-E-Rangeen Ki Junoon-Khez Mahak
Khwaab Ban Ban Ke Mere Zehan Mein Lahrati Hai
Raat Ki Sard Khamoshi Mein Har Ik Jhonke Se
Tere Anfaas, Tere Jism Ki Aanch Aati Hai

Main Sulagte Hue Raazon Ko Ayaan To Kar Dopn
Lekin In Raazon Ki Tashheer Se Jee Darta Hai
Raat Ke Khwaab Ujaale Mein Bayaan To Kar Doon
In Haseen Khwabon Ki Taa’beer Se Jee Dartaa Hai

Tere Saanson Ki Thakan, Teri Nigaahon Ka Sukoot
Dar-Haqeeqat Koi Rangeen Sharaarat Hi Na Ho
Main Jise Pyaar Ka Andaaz Samajh Baithaa Houn
Wo Tabassum Wo Takallum Teri Aadat Hi Na Ho

Sochta Hoon Ki Tujhe Milke Main Jis Soch Mein Hoon
Pahle Us Soch Ka Maqsoom Samajh Loon To Kahoon
Main Tire Shahr Mein Anjaan Hoon Pardesi Hoon
Tere Altaaf Ka Mafhoom Samjah Loon To Kahoon

Kaheen Aisa Na Ho Ki Paanw Mere Tharraa Jaayein
Aur Teri Marmari Baahon Ka Sahaaraa Na Mile
Ashk Bahte Rahein Khaamosh Siyah Raaton Mein
Aur Tere Reshmi Aanchal Ka Kinaaraa Na Mile

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>