Sahir - Mera Junoon-E-Wafaa Hai Zawaal-Aamaadah

Mera Junoon-E-Wafaa Hai Zawaal-Aamaadah

Mera Junoon-E-Wafaa Hai Zawaal-Aamaadah
Shikast Ho Gayaa Tera Fasoon-E-Zebaai
Un Aarzoon Pe Chhai Hai Gard-E-Maayoosi
Jinhon Ne Tere Tabassum Mein Parwarish Paai

Fareb-E-Shauq Ke Rangeen Tilism Toot Gaye
Haqeeqaton Ne Hawaadis Se Phir Jalaa Paayi
Sukoon-O-Khwaab Ke Parde Sarakte Jaate Hain
Demaagh-O-Dil Mein Hai Wahshat Ki Kaar-Farmaai

Wo Taare Jin Mein Muhabbat Ka Noor Taabaan Thaa
Wo Taare Doob Gaye Le Ke Rang-O-Raa’naai
Sulaa Gayi Thin Jinhein Teri Multafat Nazrein
Wo Dard Jaag Uthe Phir Se Le Kar Angraai

Ajeeb Aalam-E-Afsurdagi Hai Roo Ba-Farogh
Na Ab Nazar Ko Taqaazaa Na Dil Tamannaai
Tiri Nazar, Tere Gesu, Teri Jabeen, Tere Lab
Meri Udaas Tabee’yat Hai Sab Se Uktaai

Main Zindagi Ke Haqaa’iq Se Bhaag Aaya Thaa
Ke Mujh Ko Khud Mein Chhupa Le Tiri Fusoon-Zaai
Magar Yahaan Bhi Ta’aqub Kiya Haqaa’iq Ne
Yahaan Bhi Mil Na Saki Jannat-E-Shakeb-Aai

Har Ek Haath Mein Le Kar Hazaar Aa’eene
Hayaat Band Dareechon Se Bhi Guzar Aayi
Mire Har Ik Taraf Se Ek Shor Goonjaa Hai
Aur Us Mein Doob Gayi Ishraton Ki Shahnaai

Kahaan Talak Koi Zindah Haqeeqaton Se Bache
Kahaan Talak Kare Chhup Chhup Ke Naghma Pairaai
Woh Dekh Saamne Ke Pur-Shikwaa Aiwaan Se
Kisi Kiraaye Ki Ladki Ki Cheekh Takraai

Woh Phir Samaaj Ne Do Pyaar Karne Waalon Ko
Sazaa Ke Taur Pe Bakhshi Taweel Tanhaai
Phir Ek Teerah-O-Taareek Jhonpadi Ke Tale
Sisakte Bachche Pe Bewaah Ki Aankh Bhar Aai

Woh Phir Biki Kisi Majboor Ki Jawaan Beti
Woh Phir Jhuka Kisi Dar Pe Gharoor-E-Barnaai
Woh Phir Kisaanon Ke Majmooa’ Pe Gun-Mashinon Se
Haqooq Yaaftaa Tabqe Ne Aag Barsaai

Sakoot-E-Halqa-E-Zindaan Se Ek Gooonj Uthi
Aur Us Ke Saath Mire Saathiyon Ki Yaad Aayi
Nahin Nahin Mujhe Youn Multafat Nazar Se Na Dekh
Nahin Nahin Mujhe Ab Taab-E-Naghma-Pairaai

Mera Junoon-E-Wafaa Hai Zawaal-Aamaadah
Shikast Ho Gayaa Teraa Fasoon-E-Zebaai

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>