Sahir - Shaahkaar- Musawwir Main Teraa Shahakaar Wapas

Musawwir Main Teraa Shahakaar Wapas

Musawwir Main Teraa Shahakaar Waapas Karne Aayaa Hoon

Ab In Rangin Rukhasaaron Men Thodi Zardiyaan Bhar De
Hijaab Aalood Nazaron Men Zaraa Bebaakiyaan Bhar De
Labon Ki Bhigi Bhigi Silwaton Ko Muzamahil Kar De
Numaayaan Rag-E-Peshaani Pe Aks-E-Soz-E-Dil Kar De
Tabassum Aafrin Chehre Men Kuchh Sanjida-Pan Bhar De
Jawan Seene Ke Makhrooti Uthaanen Sar-Nigoon Kar De
Ghane Baalon Ko Kam Kar De, Magar Rakhshandagi De De
Nazar Se Tamkanat Le Kar Mizaaj-E-Aajizi De De
Magar Haan Bench Ke Badale Ise Sofe Pe Bithalaa De
Yahan Mere Bajaaye Ik Chamakati Car Dikhalaa De

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>